kisi se waada-o-paimaan bhi nahin mera | किसी से वादा-ओ-पैमान भी नहीं मेरा

  - Qamar Raza Shahzad

kisi se waada-o-paimaan bhi nahin mera
yahan se lautna aasaan bhi nahin mera

main lakht lakht hua aasmaan se ladte hue
magar ye khaak pe ehsaan bhi nahin mera

main sirf apni hiraasat mein din guzaarta hoon
mere siva koi zindaan bhi nahin mera

sukoot-e-shab mein tiri chashm-e-neem-va ke siva
koi charaagh nigahbaan bhi nahin mera

dhari hui koi ummeed bhi nahin mere paas
khula hua dar-e-imkaan bhi nahin mera

ye kis ke bojh ne mujh ko thaka diya ki yahan
b-juz-dua koi samaan bhi nahin mera

main us ki rooh mein utara hua hoon aur shehzaad
kamaal ye hai use dhyaan bhi nahin mera

किसी से वादा-ओ-पैमान भी नहीं मेरा
यहाँ से लौटना आसान भी नहीं मेरा

मैं लख़्त लख़्त हुआ आसमाँ से लड़ते हुए
मगर ये ख़ाक पे एहसान भी नहीं मेरा

मैं सिर्फ़ अपनी हिरासत में दिन गुज़ारता हूँ
मिरे सिवा कोई ज़िंदान भी नहीं मेरा

सुकूत-ए-शब में तिरी चश्म-ए-नीम-वा के सिवा
कोई चराग़ निगहबान भी नहीं मेरा

धरी हुई कोई उम्मीद भी नहीं मिरे पास
खुला हुआ दर-ए-इम्कान भी नहीं मेरा

ये किस के बोझ ने मुझ को थका दिया कि यहाँ
ब-जुज़-दुआ कोई सामान भी नहीं मेरा

मैं उस की रूह में उतरा हुआ हूँ और 'शहज़ाद'
कमाल ये है उसे ध्यान भी नहीं मेरा

  - Qamar Raza Shahzad

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari