meri zameen tire aflaak se ziyaada hai | मिरी ज़मीं तिरे अफ़्लाक से ज़ियादा है

  - Qamar Raza Shahzad

meri zameen tire aflaak se ziyaada hai
mujhe ye khaak har ik khaak se ziyaada hai

nigaar-khaana-e-duniya mujhe dareeda libaas
tiri ata-shuda poshaak se ziyaada hai

shikasta jism alag cheez hai magar tira zulm
kahaan mere dil-e-be-baak se ziyaada hai

kahaani-kaar tujhe kya khabar ye shehar dukhi
tire fasaana-e-gham-naak se ziyaada hai

main bujh raha hoon magar meri raushni shehzaad
charaagh-e-khema-e-idraak se ziyaada hai

मिरी ज़मीं तिरे अफ़्लाक से ज़ियादा है
मुझे ये ख़ाक हर इक ख़ाक से ज़ियादा है

निगार-ख़ाना-ए-दुनिया मुझे दरीदा लिबास
तिरी अता-शुदा पोशाक से ज़ियादा है

शिकस्ता जिस्म अलग चीज़ है मगर तिरा ज़ुल्म
कहाँ मिरे दिल-ए-बे-बाक से ज़ियादा है

कहानी-कार तुझे क्या ख़बर ये शहर दुखी
तिरे फ़साना-ए-ग़म-नाक से ज़ियादा है

मैं बुझ रहा हूँ मगर मेरी रौशनी 'शहज़ाद'
चराग़-ए-खेमा-ए-इदराक से ज़ियादा है

  - Qamar Raza Shahzad

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari