raushni doob gai chaand ne munh dhanp liya | रौशनी डूब गई चाँद ने मुँह ढाँप लिया - Qateel Shifai

raushni doob gai chaand ne munh dhanp liya
ab koi raah dikhaai nahin deti mujh ko
mere ehsaas mein kohraam macha hai lekin
koi awaaz sunaai nahin deti mujh ko

raat ke haath ne kirnon ka gala ghoont diya
jaise ho jaaye zameen-bos shivaala koi
ye ghata-top andhera ye ghana sannaata
ab koi geet hai baaki na ujaala koi

jis ne chhup-chhup ke jalaya meri ummeedon ko
vo sulagti hui thandak mere ghar tak pahunchee
dekhte dekhte sailaab-e-havas phail gaya
mauj-e-paayaab ubhar kar mere sar tak pahunchee

mere tareek gharaunde ko udaasi de kar
muskuraate hain dareechon mein ishaare kya kya
uf ye ummeed ka madfan ye mohabbat ka mazaar
is mein dekhe hain tabaahi ke nazaare kya kya

jis ne aankhon mein sitaare se kabhi ghole the
aaj ehsaas pe kaajal sa bikhra us ne
jis ne khud aa ke tatola tha mere seene ko
le liya gair ke pahluu mein basera us ne

vo talavvun ki nahin jis ka thikaana koi
us ke andaaz-e-kuhan aaj naye taur ke hain
wahi bebaak ishaare wahi bhadke hue geet
kal mere haath bike aaj kisi aur ke hain

vo mahakta sa chahakta sa ubalta seena
us ki miyaad hai do roz lipatne ke liye
zulf bikhri hui bikhri to nahin rah sakti
phailta hai koi saaya to simatne ke liye

रौशनी डूब गई चाँद ने मुँह ढाँप लिया
अब कोई राह दिखाई नहीं देती मुझ को
मेरे एहसास में कोहराम मचा है लेकिन
कोई आवाज़ सुनाई नहीं देती मुझ को

रात के हाथ ने किरनों का गला घूँट दिया
जैसे हो जाए ज़मीं-बोस शिवाला कोई
ये घटा-टोप अँधेरा ये घना सन्नाटा
अब कोई गीत है बाक़ी न उजाला कोई

जिस ने छुप-छुप के जलाया मिरी उम्मीदों को
वो सुलगती हुई ठंडक मिरे घर तक पहुँची
देखते देखते सैलाब-ए-हवस फैल गया
मौज-ए-पायाब उभर कर मिरे सर तक पहुँची

मिरे तारीक घरौंदे को उदासी दे कर
मुस्कुराते हैं दरीचों में इशारे क्या क्या
उफ़ ये उम्मीद का मदफ़न ये मोहब्बत का मज़ार
इस में देखे हैं तबाही के नज़ारे क्या क्या

जिस ने आँखों में सितारे से कभी घोले थे
आज एहसास पे काजल सा बिखेरा उस ने
जिस ने ख़ुद आ के टटोला था मिरे सीने को
ले लिया ग़ैर के पहलू में बसेरा उस ने

वो तलव्वुन कि नहीं जिस का ठिकाना कोई
उस के अंदाज़-ए-कुहन आज नए तौर के हैं
वही बेबाक इशारे वही भड़के हुए गीत
कल मिरे हाथ बिके आज किसी और के हैं

वो महकता सा चहकता सा उबलता सीना
उस की मीआद है दो रोज़ लिपटने के लिए
ज़ुल्फ़ बिखरी हुई बिखरी तो नहीं रह सकती
फैलता है कोई साया तो सिमटने के लिए

- Qateel Shifai
2 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qateel Shifai

As you were reading Shayari by Qateel Shifai

Similar Writers

our suggestion based on Qateel Shifai

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari