madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi | मदहोशियों से काम लिया है कभी कभी

  - Raaz Layalpuri

madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
haath un ka ham ne thaam liya hai kabhi kabhi

may-kash bhula sakenge na saaqi ka ye karam
girton ko us ne thaam liya hai kabhi kabhi

saaqi ne jo pilaai hamaari hi thi khareed
ham se bhi us ne daam liya hai kabhi kabhi

kya baat hai ki tark-e-taalluq ke baawajood
ham ne tumhaara naam liya hai kabhi kabhi

ai fart-e-shauq ham ne tasavvur ke faiz se
nazzara un ka aam liya hai kabhi kabhi

thukraata kaise husn ki is pesh-kash ko main
majboor ho ke jaam liya hai kabhi kabhi

dekha kabhi nahin unhen ai raaz bazm mein
jalwa kanaar-e-baam liya hai kabhi kabhi

मदहोशियों से काम लिया है कभी कभी
हाथ उन का हम ने थाम लिया है कभी कभी

मय-कश भुला सकेंगे न साक़ी का ये करम
गिरतों को उस ने थाम लिया है कभी कभी

साक़ी ने जो पिलाई हमारी ही थी ख़रीद
हम से भी उस ने दाम लिया है कभी कभी

क्या बात है कि तर्क-ए-तअल्लुक़ के बावजूद
हम ने तुम्हारा नाम लिया है कभी कभी

ऐ फ़र्त-ए-शौक़ हम ने तसव्वुर के फ़ैज़ से
नज़्ज़ारा उन का आम लिया है कभी कभी

ठुकराता कैसे हुस्न की इस पेश-कश को मैं
मजबूर हो के जाम लिया है कभी कभी

देखा कभी नहीं उन्हें ऐ 'राज़' बज़्म में
जल्वा कनार-ए-बाम लिया है कभी कभी

  - Raaz Layalpuri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raaz Layalpuri

As you were reading Shayari by Raaz Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Raaz Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari