mizaaj-e-naghma-o-she'r-o-sharaab paida kar | मिज़ाज-ए-नग़्मा-ओ-शे'र-ओ-शराब पैदा कर

  - Raees Niyazi

mizaaj-e-naghma-o-she'r-o-sharaab paida kar
hayaat-e-ishq mein kuchh aab-o-taab paida kar

nazar ko kheergi-e-shauq be-panaah mile
har ek zarre se vo aftaab paida kar

shikast-e-khwaab ke baa-wasf band hain aankhen
phir ek baar tamaasha-e-khwaab paida kar

ye be-niyaazi-e-tazain-e-aaina kab tak
kabhi kabhi to khud apna jawaab paida kar

har ek zarra hai maamoora-e-jamaal-e-habeeb
dil-e-hazeen nigah-e-kaamyaab paida kar

dil-o-nigaah ko dhoke bhi raas aaye hain
wufoor-e-tishna-labi mein saraab paida kar

na kar shikaayat-e-dauraan na ban hareef-e-zamaan
museebaton ka koi sadd-e-baab paida kar

pahunch buland-e-maqaamaat-e-she'r-o-naghma tak
adab mein ek dil-aawez baab paida kar

garz to ye hai tira markaz-e-nigaah rahoon
sukoon-e-dil na sahi iztiraab paida kar

raeis tujh ko to marne ki bhi nahin furqat
kaha tha kis ne ki aise azaab paida kar

मिज़ाज-ए-नग़्मा-ओ-शे'र-ओ-शराब पैदा कर
हयात-ए-इश्क़ में कुछ आब-ओ-ताब पैदा कर

नज़र को ख़ीरगी-ए-शौक़ बे-पनाह मिले
हर एक ज़र्रे से वो आफ़्ताब पैदा कर

शिकस्त-ए-ख़्वाब के बा-वस्फ़ बंद हैं आँखें
फिर एक बार तमाशा-ए-ख़्वाब पैदा कर

ये बे-नियाज़ी-ए-तज़ईन-ए-आइना कब तक
कभी कभी तो ख़ुद अपना जवाब पैदा कर

हर एक ज़र्रा है मामूरा-ए-जमाल-ए-हबीब
दिल-ए-हज़ीं निगह-ए-कामयाब पैदा कर

दिल-ओ-निगाह को धोके भी रास आए हैं
वुफ़ूर-ए-तिश्ना-लबी में सराब पैदा कर

न कर शिकायत-ए-दौराँ न बन हरीफ़-ए-ज़माँ
मुसीबतों का कोई सद्द-ए-बाब पैदा कर

पहुँच बुलंद-ए-मक़ामात-ए-शे'र-ओ-नग़्मा तक
अदब में एक दिल-आवेज़ बाब पैदा कर

ग़रज़ तो ये है तिरा मरकज़-ए-निगाह रहूँ
सुकून-ए-दिल न सही इज़्तिराब पैदा कर

'रईस' तुझ को तो मरने की भी नहीं फ़ुर्सत
कहा था किस ने कि ऐसे अज़ाब पैदा कर

  - Raees Niyazi

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Niyazi

As you were reading Shayari by Raees Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Raees Niyazi

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari