raat main shaana-e-idraak se lag kar soya | रात मैं शाना-ए-इदराक से लग कर सोया - Rafi Raza

raat main shaana-e-idraak se lag kar soya
band ki aankh to aflaak se lag kar soya

unghta tha kahi mehraab ki sarshaari mein
ik diya sa kisi chaqmaaq se lag kar soya

ek jalta hua aansu jo nahin sota tha
der tak deeda-e-namunaak se lag kar soya

an-ginat aankhen mere jism pe chundhyaai raheen
buqa-e-noor meri khaak se lag kar soya

kooza-gar ne mere baare mein ye daftar mein likha
chaak se utara magar chaak se lag kar soya

neend ki shart thi tanhaa nahin sona mujh ko
hijr tha so usi saffaaq se lag kar soya

raat kaanton pe guzaari to savere socha
kis liye khema-e-ushshaq se lag kar soya

neend sooli pe chali aayi sau zakhm-e-uryaan
apni ik khwahish-e-poshaak se lag kar soya

रात मैं शाना-ए-इदराक से लग कर सोया
बंद की आँख तो अफ़्लाक से लग कर सोया

ऊँघता था कहीं मेहराब की सरशारी में
इक दिया सा किसी चक़माक़ से लग कर सोया

एक जलता हुआ आँसू जो नहीं सोता था
देर तक दीदा-ए-नमनाक से लग कर सोया

अन-गिनत आँखें मिरे जिस्म पे चुँधयाई रहीं
बुक़ा-ए-नूर मिरी ख़ाक से लग कर सोया

कूज़ा-गर ने मिरे बारे में ये दफ़्तर में लिखा
चाक से उतरा मगर चाक से लग कर सोया

नींद की शर्त थी तन्हा नहीं सोना मुझ को
हिज्र था सो उसी सफ़्फ़ाक से लग कर सोया

रात काँटों पे गुज़ारी तो सवेरे सोचा
किस लिए ख़ेमा-ए-उश्शाक़ से लग कर सोया

नींद सूली पे चली आई सौ ज़ख़्म-ए-उर्यां
अपनी इक ख़्वाहिश-ए-पोशाक से लग कर सोया

- Rafi Raza
0 Likes

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafi Raza

As you were reading Shayari by Rafi Raza

Similar Writers

our suggestion based on Rafi Raza

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari