phool ikhlaas ke honton pe sajaane waala
main hoon dushman ko bhi seene se lagaane waala
ja ke pardes mere ghar ka pata bhool gaya
apna bachpan mere aangan mein bitaane waala
us ki yaadon ko kaleje se lagaaye rakhiye
ab na aayega kabhi laut ke jaane waala
mere dushman tujhe maaloom nahin hai shaayad
maarnay waale se badh kar hai bachaane waala
kaise karta main shikaayat bhi kisi ki yaaro
mera apna hi tha dil mera dukhaane waala
aise bichhda ki khayaalon mein bhi aaya na rafeeq
kitna khuddaar tha vo rooth ke jaane waala
फूल इख़्लास के होंटों पे सजाने वाला
मैं हूँ दुश्मन को भी सीने से लगाने वाला
जा के परदेस मिरे घर का पता भूल गया
अपना बचपन मिरे आँगन में बिताने वाला
उस की यादों को कलेजे से लगाए रखिए
अब न आएगा कभी लौट के जाने वाला
मेरे दुश्मन तुझे मालूम नहीं है शायद
मारने वाले से बढ़ कर है बचाने वाला
कैसे करता मैं शिकायत भी किसी की यारो
मेरा अपना ही था दिल मेरा दुखाने वाला
ऐसे बिछड़ा कि ख़यालों में भी आया न 'रफ़ीक़'
कितना ख़ुद्दार था वो रूठ के जाने वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Usmani
our suggestion based on Rafiq Usmani
As you were reading Environment Shayari Shayari