us ke munh ka karwa bol bhi kaisa tha
doodh mein jaise shahad mila ho lagta tha
khuli hawa mein udte udte mar jaana
qafas mein rah kar jeene se to achha tha
shaadi ho jaane par beta bhool gaya
bewa maa ne kaise us ko paala tha
aaj main us ka haath pakad kar chalta hoon
kal jo meri ungli thaame chalta tha
ab to us mein yaadon ka hai shor bahut
man ka aangan pehle kitna soona tha
soch raha tha aap mere ghar mein kaise
aankh khuli to samajh mein aaya sapna tha
din bhar hansta firta tha jo sadkon par
vo paagal tanhaai mein akshar rota tha
sar ko ooncha kar ke jo chalta tha rafeeq
asl mein mujh se qad mein zara vo chhota tha
उस के मुँह का कड़वा बोल भी कैसा था
दूध में जैसे शहद मिला हो लगता था
खुली हवा में उड़ते उड़ते मर जाना
क़फ़स में रह कर जीने से तो अच्छा था
शादी हो जाने पर बेटा भूल गया
बेवा माँ ने कैसे उस को पाला था
आज मैं उस का हाथ पकड़ कर चलता हूँ
कल जो मेरी उँगली थामे चलता था
अब तो उस में यादों का है शोर बहुत
मन का आँगन पहले कितना सूना था
सोच रहा था आप मिरे घर में कैसे
आँख खुली तो समझ में आया सपना था
दिन भर हँसता फिरता था जो सड़कों पर
वो पागल तन्हाई में अक्सर रोता था
सर को ऊँचा कर के जो चलता था 'रफ़ीक़'
अस्ल में मुझ से क़द में ज़रा वो छोटा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Usmani
our suggestion based on Rafiq Usmani
As you were reading Wedding Shayari Shayari