itni furqat nahin us paikar-e-pindaar ke paas | इतनी फ़ुर्सत नहीं उस पैकर-ए-पिंदार के पास

  - Rafique Khayal

itni furqat nahin us paikar-e-pindaar ke paas
ban ke aaye vo maseeha kisi beemaar ke paas

gar yoonhi vahshatein raksaan raheen daalaanon mein
koi saaya na rahega kisi deewaar ke paas

roz aankhon ko naya tarz-e-sukhan milta hai
roz jaata hoon kisi yaar-e-tarh-daar ke paas

fasl-e-gham dekh ke nam-deeda hua charkh-e-falak
shaayad aankhen hi nahin aaina-bardaar ke paas

meri deewaangi khwaabon se bagal-geer hui
dasht aabaad kiya jab kisi gulzaar ke paas

rang-o-nikhat ke khazaane bhi zameen-bos hue
chal ke khud aane lagi khushboo khareedaar ke paas

ai khayal apne iraadon ko tavaana rakho
muflisi aati nahin hai kisi fankaar ke paas

इतनी फ़ुर्सत नहीं उस पैकर-ए-पिंदार के पास
बन के आए वो मसीहा किसी बीमार के पास

गर यूँही वहशतें रक़्साँ रहीं दालानों में
कोई साया न रहेगा किसी दीवार के पास

रोज़ आँखों को नया तर्ज़-ए-सुख़न मिलता है
रोज़ जाता हूँ किसी यार-ए-तरह-दार के पास

फ़स्ल-ए-ग़म देख के नम-दीदा हुआ चर्ख़-ए-फ़लक
शायद आँखें ही नहीं आइना-बरदार के पास

मेरी दीवानगी ख़्वाबों से बग़ल-गीर हुई
दश्त आबाद किया जब किसी गुलज़ार के पास

रंग-ओ-निकहत के ख़ज़ाने भी ज़मीं-बोस हुए
चल के ख़ुद आने लगी ख़ुश्बू ख़रीदार के पास

ऐ 'ख़याल' अपने इरादों को तवाना रक्खो
मुफ़्लिसी आती नहीं है किसी फ़नकार के पास

  - Rafique Khayal

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari