hausale zindagi ke dekhte hain
chaliye kuchh roz jee ke dekhte hain
neend pichhli sadi ki zakhmi hai
khwaab agli sadi ke dekhte hain
roz ham ik andheri dhund ke paar
qafile raushni ke dekhte hain
dhoop itni karahati kyun hai
chaanv ke zakham si ke dekhte hain
tuktuki baandh li hai aankhon ne
raaste waapsi ke dekhte hain
paaniyon se to pyaas bujhti nahin
aaiye zahar pee ke dekhte hain
हौसले ज़िंदगी के देखते हैं
चलिए कुछ रोज़ जी के देखते हैं
नींद पिछली सदी की ज़ख़्मी है
ख़्वाब अगली सदी के देखते हैं
रोज़ हम इक अँधेरी धुँद के पार
क़ाफ़िले रौशनी के देखते हैं
धूप इतनी कराहती क्यूँ है
छाँव के ज़ख़्म सी के देखते हैं
टुकटुकी बाँध ली है आँखों ने
रास्ते वापसी के देखते हैं
पानियों से तो प्यास बुझती नहीं
आइए ज़हर पी के देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Raasta Shayari Shayari