nadi ne dhoop se kya kah diya rawaani mein
ujaale paanv patkane lage hain paani mein
ye koi aur hi kirdaar hai tumhaari tarah
tumhaara zikr nahin hai meri kahaani mein
ab itni saari shabon ka hisaab kaun rakhe
bade savaab kamaaye gaye jawaani mein
chamakta rehta hai soorj-mukhi mein koi aur
mahak raha hai koi aur raat-raani mein
ye mauj mauj nayi halchalein si kaisi hain
ye kis ne paanv utaare udaas paani mein
main sochta hoon koi aur kaarobaar karoon
kitaab kaun khareedega is giraani mein
नदी ने धूप से क्या कह दिया रवानी में
उजाले पाँव पटकने लगे हैं पानी में
ये कोई और ही किरदार है तुम्हारी तरह
तुम्हारा ज़िक्र नहीं है मिरी कहानी में
अब इतनी सारी शबों का हिसाब कौन रखे
बड़े सवाब कमाए गए जवानी में
चमकता रहता है सूरज-मुखी में कोई और
महक रहा है कोई और रात-रानी में
ये मौज मौज नई हलचलें सी कैसी हैं
ये किस ने पाँव उतारे उदास पानी में
मैं सोचता हूँ कोई और कारोबार करूँ
किताब कौन ख़रीदेगा इस गिरानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Mood off Shayari Shayari