sawaal ghar nahin buniyaad par uthaya hai
hamaare paanv ki mitti ne sar uthaya hai
hamesha sar pe rahi ik chataan rishton ki
ye bojh vo hai jise umr-bhar uthaya hai
meri ghulail ke patthar ka kaar-naama tha
magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai
yahi zameen mein dabaayega ek din ham ko
ye aasmaan jise dosh par uthaya hai
bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne
hawa ka toota hua ek par uthaya hai
maha-bali se bagaavat bahut zaroori hai
qadam ye ham ne samajh soch kar uthaya hai
सवाल घर नहीं बुनियाद पर उठाया है
हमारे पाँव की मिट्टी ने सर उठाया है
हमेशा सर पे रही इक चटान रिश्तों की
ये बोझ वो है जिसे उम्र-भर उठाया है
मिरी ग़ुलैल के पत्थर का कार-नामा था
मगर ये कौन है जिस ने समर उठाया है
यही ज़मीं में दबाएगा एक दिन हम को
ये आसमान जिसे दोश पर उठाया है
बुलंदियों को पता चल गया कि फिर मैं ने
हवा का टूटा हुआ एक पर उठाया है
महा-बली से बग़ावत बहुत ज़रूरी है
क़दम ये हम ने समझ सोच कर उठाया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Aasman Shayari Shayari