kahin khud ko nahin baanta abhi tak
tera hi hai tera hissa abhi tak
tere bin khaak guzregi meri umr
tere bin din nahin guzra abhi tak
tere hote hue bhi duniya dekhi
in aankhon ne bhi kya dekha abhi tak
abhi bhi bas ye dhoke kha raha hai
ye apna dil nahin sudhara abhi tak
main sach nangaa hoon ab bhi par tu ye dekh
nahin jhoota libaas odha abhi tak
raqeeb is vaaste bhi sunta hai raay
jahaan vo hai wahan main tha abhi tak
use mujh se ziyaada gham hai us ne
ek aansu bhi nahin kharcha abhi tak
lagi thi pyaas to paani laga saaf
agarche tha to ye gadla abhi tak
jalaati dhoop ka din aur bacha hai
mere hi saath hai saaya abhi tak
na kos in raaston ko maan rajneesh
tujhe chalna nahin aaya abhi tak
कहीं ख़ुद को नहीं बाँटा अभी तक
तेरा ही है तेरा हिस्सा अभी तक
तेरे बिन ख़ाक गुज़रेगी मेरी उम्र
तेरे बिन दिन नहीं गुज़रा अभी तक
तेरे होते हुए भी दुनिया देखी
इन आँखों ने भी क्या देखा अभी तक
अभी भी बस ये धोके खा रहा है
ये अपना दिल नहीं सुधरा अभी तक
मैं सच नंगा हूँ अब भी पर तू ये देख
नहीं झूठा लिबास ओढ़ा अभी तक
रक़ीब इस वास्ते भी सुनता है राय
जहाँ वो है वहाँ मैं था अभी तक
उसे मुझ से ज़ियादा ग़म है उस ने
एक आँसू भी नहीं ख़र्चा अभी तक
लगी थी प्यास तो पानी लगा साफ़
अगरचे था तो ये गदला अभी तक
जलाती धूप का दिन और बचा है
मेरे ही साथ है साया अभी तक
न कोस इन रास्तों को मान रजनीश
तुझे चलना नहीं आया अभी तक
As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
As you were reading undefined Shayari