aashiqon ki aankh ka moti ghazal
dekhiye hansati kabhi roti ghazal
hai nafaasat aur mohabbat se pali
tarbiyat ke beej bhi boti ghazal
in lateefon-aafreen ke darmiyaan
aalami meyaar ko khoti ghazal
muflisi ye bhookh aur tashnaalabi
dekh ye manzar kahaan soti ghazal
saarthi neenden na zaaya keejiye
ratjaga karke kahaan hoti ghazal
आशिक़ों की आँख का मोती ग़ज़ल
देखिए हँसती, कभी रोती ग़ज़ल
है नफ़ासत और मोहब्बत से पली
तर्बियत के बीज भी बोती ग़ज़ल
इन लतीफ़ों-आफ़रीं के दरमियान
आलमी मेयार को खोती ग़ज़ल
मुफ़्लिसी ये भूख और तश्नालबी
देख ये मंज़र कहाँ सोती ग़ज़ल
‘सारथी’ नींदें न ज़ाया कीजिये
रतजगा करके कहाँ होती ग़ज़ल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Valentine Shayari Shayari