ik nahin ye sau dafa har baar hona chahiye
teer gar nikle jigar ke paar hona chahiye
chaand-taare aur suraj ja rahe hadtaal par
maang hai sarkaar se itwaar. hona chahiye
yun akela jaam peene mein maza kya khaak hai
sun gule-gulzaar bhi do chaar hona chahiye
maana zarre mein numaayaan ho raha vo mustafa
par wahi zid ke visaale-yaar hona chahiye
poochte hain vo ki haal-e-dil batao saarthi
baarishon ki raat hai iqraar hona chahiye
इक नहीं ये सौ दफ़ा हर बार होना चाहिए
तीर गर निकले जिगर के पार होना चाहिए
चाँद-तारे और सूरज जा रहे हड़ताल पर
मांग है सरकार से इतवार होना चाहिए
यूँ अकेले जाम पीने में मजा क्या ख़ाक है
सुन गुले-गुलज़ार भी दो चार होना चाहिए
माना ज़र्रे में नुमायां हो रहा वो मुस्तफ़ा
पर वही ज़िद के विसाले-यार होना चाहिए
पूछते हैं वो कि हाले-दिल बताओ ‘सारथी’
बारिशों की रात है इक़रार होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Teer Shayari Shayari