raat din aawaargi hone lagi
tum mile to shayari hone lagi
subh maa ke paanv choo leta hoon roz
mandiron mein haaziri hone lagi
aarize gul par paseene ki lakeer
chaandni kya shabnami hone lagi
aaj phir usse meri aankhen miliin
shaakhe-gham phir se hari hone lagi
maut ne mujhko chhua phir ye hua
zindagi se aashiqi hone lagi
रात दिन आवारगी होने लगी
तुम मिले तो शायरी होने लगी
सुब्ह माँ के पाँव छू लेता हूँ रोज़
मंदिरों में हाज़िरी होने लगी
आरिज़े गुल पर पसीने की लकीर
चांदनी क्या शबनमी होने लगी
आज फिर उससे मेरी आँखें मिलीं
शाखे-ग़म फिर से हरी होने लगी
मौत ने मुझको छुआ फिर ये हुआ
ज़िन्दगी से आशिक़ी होने लगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Phool Shayari Shayari