husn-kaari ke dikhaane mein nahin aayega
dil mera aapke jhaanse mein nahin aayega
zindagi bhar kii kamaai ko sunaata hoon dost
dil agar toota to lagne mein nahin aayega
mere hisse kii khushi sabko lutaane waali
chain phir tere bhi hisse mein nahin aayega
hijr mein marna bhi ik tajurba hai mere dost
tajurba sabko ye jeene mein nahin aayega
ab tiri marzi jise chahe bana le apna
ab ye paagal tire raste mein nahin aayega
हुस्न-कारी के दिखाने में नहीं आएगा
दिल मिरा आपके झाँसे में नहीं आएगा
ज़िंदगी भर की कमाई को सुनाता हूँ दोस्त
दिल अगर टूटा तो लगने में नहीं आएगा
मेरे हिस्से की ख़ुशी सबको लुटाने वाली
चैन फिर तेरे भी हिस्से में नहीं आएगा
हिज्र में मरना भी इक तजरबा है मेरे दोस्त
तजरबा सबको ये जीने में नहीं आएगा
अब तिरी मर्ज़ी जिसे चाहे बना ले अपना
अब ये पागल तिरे रस्ते में नहीं आएगा
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari