kuchh nahin sirf uthaya hai khasaara hamne | कुछ नहीं सिर्फ़ उठाया है ख़सारा हमने

  - Sagar Sahab Badayuni

kuchh nahin sirf uthaya hai khasaara hamne
kho diya jabse pasandeeda sitaara hamne

beech dariya mein rahe doobte uski khaatir
ye nahin tha ki nahin dekha kinaara hamne

tujhko ye log kahin ka bhi nahin chhodenge
tujhko roka tha bahut karke ishaara hamne

mujhse milne na sahi maut pe aa saktaa hai
tujhko takleef mein tha yaar pukaara hamne

ham hi latke rahe pankhe se shikaayat lekar
khud ko hi baad mein pankhe se utaara hamne

कुछ नहीं सिर्फ़ उठाया है ख़सारा हमने
खो दिया जबसे पसंदीदा सितारा हमने

बीच दरिया में रहे डूबते उसकी ख़ातिर
ये नहीं था कि नहीं देखा किनारा हमने

तुझको ये लोग कहीं का भी नहीं छोड़ेंगे
तुझको रोका था बहुत करके इशारा हमने

मुझसे मिलने न सही मौत पे आ सकता है
तुझको तकलीफ़ में था यार पुकारा हमने

हम ही लटके रहे पंखे से शिकायत लेकर
ख़ुद को ही बाद में पंखे से उतारा हमने

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari