main tadpata raha jis khushi ke liye
aur vo bhi mili bas ghadi ke liye
dukh samajhta hoon main auraton ka magar
koii soche zara aadmi ke liye
main muhabbat mein sab haar kar aaya hoon
ye wajah kaafi hai khudkushi ke liye
khud ko barbaad karne ko ik haadsa
kaafi hota hai bas zindagi ke liye
yun hi koii kisi ko nahin chhodta
ik havas aur bas doosri ke liye
maut awaaz degi chale jaayenge
kaun rukta hai aakhir kisi ke liye
मैं तड़पता रहा जिस ख़ुशी के लिए
और वो भी मिली बस घड़ी के लिए
दुख समझता हूँ मैं औरतों का मगर
कोई सोचे ज़रा आदमी के लिए
मैं मुहब्बत में सब हार कर आया हूँ
ये वजह काफ़ी है ख़ुदकुशी के लिए
ख़ुद को बर्बाद करने को इक हादसा
काफ़ी होता है बस ज़िंदगी के लिए
यूँ ही कोई किसी को नहीं छोड़ता
इक हवस और बस दूसरी के लिए
मौत आवाज़ देगी चले जाएँगे
कौन रुकता है आख़िर किसी के लिए
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari