tu ne jo bhi kaha karke dikhaata gham nahin hota | तू ने जो भी कहा करके दिखाता ग़म नहीं होता - Sagar Sahab Badayuni

tu ne jo bhi kaha karke dikhaata gham nahin hota
mujhe tu yaad karke hi bhulaata gham nahin hota

gai guzri guzaari raat teri aarzoo lekar
mujhe tu chand lamhe ko bulaata gham nahin hota

mujhe gham to nahin afsos itna yaar hota hai
mujhe tu saamne se gar girata gham nahin hota

mere bheje gulaabon ko sajaaya roz bistar pe
unhen tu laash par meri jalata gham nahin hota

mujhe meri dikhaavat ki khushi dukh de rahi hai ab
muqaddar hi khuda mujhko rulaata gham nahin hota

meri har ik pareshaani mujhe dil se bulaati hai
mera tu saath gar aise nibhaata gham nahin hota

likhe hain zakham qismat mein meri be-intihaa maalik
khushi ki bhi lakeeron ko banata gham nahin hota

तू ने जो भी कहा करके दिखाता ग़म नहीं होता
मुझे तू याद करके ही भुलाता ग़म नहीं होता

गई गुज़री गुज़ारी रात तेरी आरज़ू लेकर
मुझे तू चंद लम्हे को बुलाता ग़म नहीं होता

मुझे ग़म तो नहीं अफ़सोस इतना यार होता है
मुझे तू सामने से गर गिराता ग़म नहीं होता

मिरे भेजे गुलाबों को सजाया रोज़ बिस्तर पे
उन्हें तू लाश पर मेरी जलाता ग़म नहीं होता

मुझे मेरी दिखावट की ख़ुशी दुख दे रही है अब
मुक़द्दर ही ख़ुदा मुझको रुलाता ग़म नहीं होता

मिरी हर इक परेशानी मुझे दिल से बुलाती है
मिरा तू साथ गर ऐसे निभाता ग़म नहीं होता

लिखे हैं ज़ख़्म क़िस्मत में मिरी बे-इंतिहा मालिक
ख़ुशी की भी लकीरों को बनाता ग़म नहीं होता

- Sagar Sahab Badayuni
4 Likes

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari