yahi ik baat ja ja kar kahi hai bas qabeelon mein | यही इक बात जा जा कर कही है बस क़बीलों में

  - Sagar Sahab Badayuni

yahi ik baat ja ja kar kahi hai bas qabeelon mein
khushi se khush nahin koii nikal aaya nateejon mein

zara sii bhookh ke khaatir duaaein dete firte hain
yahi aadat mujhe achhi nahin lagti faqeeron mein

yahi ik dukh hamesha khush mujhe rahne nahin dega
likha kar la nahin paaye tujhe ham kyun naseebon mein

kisi ko ho gaya haasil bina likkha lakeeron ka
kisi ko mil nahin paaya likha tha jo lakeeron mein

khushi ka haath jab se uth gaya tab se hamaare sang
udaasi maa badi bankar rahi hai ham gharibon mein

यही इक बात जा जा कर कही है बस क़बीलों में
ख़ुशी से ख़ुश नहीं कोई निकल आया नतीजों में

ज़रा सी भूख के ख़ातिर दुआएँ देते फिरते हैं
यही आदत मुझे अच्छी नहीं लगती फ़क़ीरों में

यही इक दुख हमेशा ख़ुश मुझे रहने नहीं देगा
लिखा कर ला नहीं पाए तुझे हम क्यों नसीबों में

किसी को हो गया हासिल बिना लिक्खा लक़ीरों का
किसी को मिल नहीं पाया लिखा था जो लक़ीरों में

ख़ुशी का हाथ जब से उठ गया तब से हमारे संग
उदासी माँ बड़ी बनकर रही है हम ग़रीबों में

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari