kuchh bhi nahin hai ab sunaane ke liye
dil sirf hota hai dukhaane ke liye
is daanv ko main khel saka hi nahin
sar kaat nai saka kataane ke liye
ye aakhiri mauqa mila hai dekh le
mauqa nahin phir doob jaane ke liye
dariya kinaare jal raha hai ghar mera
lene gaya hai kuchh bujhaane ke liye
ye teergi-e-shab guzar hogi nahin
kuchh khwaab le aao jalane ke liye
hai yaad rahti jis tarah mujh mein tiri
har raat kam hogi mitaane ke liye
कुछ भी नहीं है अब सुनाने के लिए
दिल सिर्फ़ होता है दुखाने के लिए
इस दाँव को मैं खेल सकता ही नहीं
सर काट नइंँ सकता कटाने के लिए
ये आख़िरी मौक़ा मिला है देख ले
मौक़ा नहीं फिर डूब जाने के लिए
दरिया किनारे जल रहा है घर मिरा
लेने गया है कुछ बुझाने के लिए
ये तीरगी-ए-शब गुज़र होगी नहीं
कुछ ख़्वाब ले आओ जलाने के लिए
है याद रहती जिस तरह मुझ में तिरी
हर रात कम होगी मिटाने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Fantasy Shayari Shayari