lagti hi nahin uski koi bhi dava mujhko | लगती ही नहीं उसकी कोई भी दवा मुझको

  - Sagar Sahab Badayuni

lagti hi nahin uski koi bhi dava mujhko
tab kahi lagi jaakar ek baddua mujhko

aakhiri sahaara bhi mar gaya mera aakhir
cheekh cheekh kar sabko kehta tha bacha mujhko

kaun karta hai aise apne gham ki rakhwaali
haal kya kiya apna aa zara dikha mujhko

kya bana diya mujhko yah tiri mohabbat ne
yah kahaan le aayi hai ik tiri wafa mujhko

is tarah to uska ye zakham bhar nahin saka
usse milna to kehna theek se bhula mujhko

लगती ही नहीं उसकी कोई भी दवा मुझको
तब कहीं लगी जाकर एक बद्दुआ मुझको

आख़िरी सहारा भी मर गया मिरा आख़िर
चीख़ चीख़ कर सबको कहता था बचा मुझको

कौन करता है ऐसे अपने ग़म की रखवाली
हाल क्या किया अपना आ ज़रा दिखा मुझको

क्या बना दिया मुझको यह तिरी मोहब्बत ने
यह कहाँ ले आई है इक तिरी वफ़ा मुझको

इस तरह तो उसका ये ज़ख़्म भर नहीं सकता
उससे मिलना तो कहना ठीक से भुला मुझको

  - Sagar Sahab Badayuni

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari