yun be-wajah hi chhod ke jaane ka shukriya | यूँ बे-वजह ही छोड़ के जाने का शुक्रिया

  - Sagar Sahab Badayuni

yun be-wajah hi chhod ke jaane ka shukriya
dil ko lagaane aur dukhaane ka shukriya

le de ke rah gai thi nishaani ye aakhiri
isko bhi khair aaj mitaane ka shukriya

mujhko ye manzilen bhi tumhaari wajah se hain
har baar har jagah se girane ka shukriya

us roz aap haal pe hanste nahin mere
banta nahin main kuchh bhi banaane ka shukriya

mujhko jo apne saath bithaaya hai aapne
ehsaan mujhpe itna dikhaane ka shukriya

andar se aap khush hain bahut dik raha hai ye
mujh pe magar ke aansu bahaane ka shukriya

apne hi haath se hi khilaaya tha yaad kar
mujh pe hi aaj haath uthaane ka shukriya

यूँ बे-वजह ही छोड़ के जाने का शुक्रिया
दिल को लगाने और दुखाने का शुक्रिया

ले दे के रह गई थी निशानी ये आख़िरी
इसको भी ख़ैर आज मिटाने का शुक्रिया

मुझको ये मंज़िलें भी तुम्हारी वजह से हैं
हर बार हर जगह से गिराने का शुक्रिया

उस रोज़ आप हाल पे हँसते नहीं मिरे
बनता नहीं मैं कुछ भी बनाने का शुक्रिया

मुझको जो अपने साथ बिठाया है आपने
एहसान मुझपे इतना दिखाने का शुक्रिया

अंदर से आप ख़ुश हैं बहुत दिख रहा है ये
मुझ पे मगर के आँसू बहाने का शुक्रिया

अपने ही हाथ से ही खिलाया था याद कर
मुझ पे ही आज हाथ उठाने का शुक्रिया

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari