labo rukhsaar pe paighaam kyun hai | लबो रुख़्सार पे पैग़ाम क्यों है - Sagheer Lucky

labo rukhsaar pe paighaam kyun hai
ye zikre yaar subho shaam kyun hai

bharosa rab pe hai ye baat samjho
hazaaron gham mein bhi aaraam kyun hai

tumhein to baarha samjha chuka hoon
abhi bhi zahn mein eehaam kyun hai

jahaan roti nahin khaane ko ik bhi
wahan manhgi dava ka daam kyun hai

hai koi zabt ka yah imtihaan kya
mere haathon mein khaali jaam kyun hai

mitegi ab ghareebi sab gharo se
sare mehfil ye charcha aam kyun hai

zamaana mujh se hi kyun poochta hai
mere hothon pe uska naam kyun hai

lucky ne ki akela hi muhabbat
hamaara naam hi badnaam kyun hai

लबो रुख़्सार पे पैग़ाम क्यों है
ये ज़िक्रे यार सुब्हो शाम क्यों है

भरोसा रब पे है ये बात समझो
हज़ारों ग़म में भी आराम क्यों है

तुम्हें तो बारहा समझा चुका हूँ
अभी भी ज़ह्न में ईहाम क्यों है

जहाँ रोटी नहीं खाने को इक भी
वहाँ मँहगी दवा का दाम क्यों है

है कोई ज़ब्त का यह इम्तिहाँ क्या
मेरे हाथों में ख़ाली जाम क्यों है

मिटेगी अब ग़रीबी सब घरों से
सरे महफ़िल ये चर्चा आम क्यों है

ज़माना मुझ से ही क्यों पूछता है
मेरे होठों पे उसका नाम क्यों है

लकी ने की अकेले ही मुहब्बत
हमारा नाम ही बदनाम क्यों है

- Sagheer Lucky
2 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagheer Lucky

As you were reading Shayari by Sagheer Lucky

Similar Writers

our suggestion based on Sagheer Lucky

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari