raat sunsaan thi bojhal theen fazaa ki saansen | रात सुनसान थी बोझल थीं फ़ज़ा की साँसें - Sahir Ludhianvi

raat sunsaan thi bojhal theen fazaa ki saansen
rooh par chhaaye the be-naam ghamon ke saaye
dil ko ye zid thi ki tu aaye tasalli dene
meri koshish thi ki kambakht ko neend aa jaaye

der tak aankhon mein chubhti rahi taaron ki chamak
der tak zehan sulagta raha tanhaai mein
apne thukraaye hue dost ki pursish ke liye
to na aayi magar us raat ki pahnaai mein

yun achaanak tiri awaaz kahi se aayi
jaise parbat ka jigar cheer ke jharna phoote
ya zameenon ki mohabbat mein tadap kar naagaah
aasmaanon se koi shokh sitaara toote

shahad sa ghul gaya talhaaba-e-tanhaai mein
rang sa phail gaya dil ke siyah-khaane mein
der tak yun tiri mastaana sadaaein goonjein
jis tarah phool chatkane lagen veeraane mein

tu bahut door kisi anjuman-e-naaz mein thi
phir bhi mehsoos kiya main ne ki tu aayi hai
aur nagmon mein chhupa kar mere khoye hue khwaab
meri roothi hui neendon ko manaa laai hai

raat ki satah par ubhre tire chehre ke nuqoosh
wahi chup-chaap si aankhen wahi saada si nazar
wahi dhalka hua aanchal wahi raftaar ka kham
wahi rah rah ke lachakta hua naazuk paikar

tu mere paas na thi phir bhi sehar hone tak
tera har saans mere jism ko choo kar guzra
qatra qatra tire deedaar ki shabnam tapki
lamha lamha tiri khushboo se moattar guzra

ab yahi hai tujhe manzoor to ai jaan-e-qaraar
main tiri raah na dekhoonga siyah raaton mein
dhoondh lenge meri tarsi hui nazrein tujh ko
naghma o sher ki umdi hui barsaaton mein

ab tira pyaar sataayega to meri hasti
tiri masti bhari awaaz mein dhal jaayegi
aur ye rooh jo tere liye bechain si hai
geet ban kar tire honton pe machal jaayegi

tere naghmaat tire husn ki thandak le kar
mere tapte hue maahol mein aa jaayenge
chand ghadiyon ke liye hoon ki hamesha ke liye
meri jaagi hui raaton ko sula jaayenge

रात सुनसान थी बोझल थीं फ़ज़ा की साँसें
रूह पर छाए थे बे-नाम ग़मों के साए
दिल को ये ज़िद थी कि तू आए तसल्ली देने
मेरी कोशिश थी कि कम्बख़्त को नींद आ जाए

देर तक आँखों में चुभती रही तारों की चमक
देर तक ज़ेहन सुलगता रहा तन्हाई में
अपने ठुकराए हुए दोस्त की पुर्सिश के लिए
तो न आई मगर उस रात की पहनाई में

यूँ अचानक तिरी आवाज़ कहीं से आई
जैसे पर्बत का जिगर चीर के झरना फूटे
या ज़मीनों की मोहब्बत में तड़प कर नागाह
आसमानों से कोई शोख़ सितारा टूटे

शहद सा घुल गया तल्ख़ाबा-ए-तन्हाई में
रंग सा फैल गया दिल के सियह-ख़ाने में
देर तक यूँ तिरी मस्ताना सदाएँ गूँजीं
जिस तरह फूल चटकने लगें वीराने में

तू बहुत दूर किसी अंजुमन-ए-नाज़ में थी
फिर भी महसूस किया मैं ने कि तू आई है
और नग़्मों में छुपा कर मिरे खोए हुए ख़्वाब
मेरी रूठी हुई नींदों को मना लाई है

रात की सतह पर उभरे तिरे चेहरे के नुक़ूश
वही चुप-चाप सी आँखें वही सादा सी नज़र
वही ढलका हुआ आँचल वही रफ़्तार का ख़म
वही रह रह के लचकता हुआ नाज़ुक पैकर

तू मिरे पास न थी फिर भी सहर होने तक
तेरा हर साँस मिरे जिस्म को छू कर गुज़रा
क़तरा क़तरा तिरे दीदार की शबनम टपकी
लम्हा लम्हा तिरी ख़ुश्बू से मोअत्तर गुज़रा

अब यही है तुझे मंज़ूर तो ऐ जान-ए-क़रार
मैं तिरी राह न देखूँगा सियह रातों में
ढूँढ लेंगी मिरी तरसी हुई नज़रें तुझ को
नग़्मा ओ शेर की उमडी हुई बरसातों में

अब तिरा प्यार सताएगा तो मेरी हस्ती
तिरी मस्ती भरी आवाज़ में ढल जाएगी
और ये रूह जो तेरे लिए बेचैन सी है
गीत बन कर तिरे होंटों पे मचल जाएगी

तेरे नग़्मात तिरे हुस्न की ठंडक ले कर
मेरे तपते हुए माहौल में आ जाएँगे
चंद घड़ियों के लिए हूँ कि हमेशा के लिए
मिरी जागी हुई रातों को सुला जाएँगे

- Sahir Ludhianvi
4 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari