zindagi ke safar nahin rukte
ham to apne hi ghar nahin rukte
usko hansna bhi aa gaya ab to
mere aansu magar nahin rukte
pehle rukte the meri aahat pe
ab mujhe dekhkar nahin rukte
tujhko phir badgumaani ho jaati
teri khaatir agar nahin rukte
ज़िंदगी के सफर नहीं रुकते
हम तो अपने ही घर नहीं रुकते
उसको हँसना भी आ गया अब तो
मेरे आँसू मगर नहीं रुकते
पहले रुकते थे मेरी आहट पे
अब मुझे देखकर नहीं रुकते
तुझको फिर बदगुमानी हो जाती
तेरी ख़ातिर अगर नहीं रुकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shafiqe saifi
our suggestion based on shafiqe saifi
As you were reading Sad Shayari Shayari