ham dar-b-dar kii thokren khaate chale gaye
phir bhi taraane pyaar ke gaate chale gaye
koshish to kii bhanwar ne dubone kii baarha
ham kashti-e-hayaat bachaate chale gaye
apna kaha kisi ne gale se laga liya
yun dushmanon ko dost banaate chale gaye
ruswaiyon ke dar se kabhi bazm-e-naaz mein
hans-hans ke dard-e-dil ko chhupaate chale gaye
karta hai jo sabhi ke muqaddar ka faisla
uski raza kii sham'a jalate chale gaye
हम दर-ब-दर की ठोकरें खाते चले गए
फिर भी तराने प्यार के गाते चले गए
कोशिश तो की भँवर ने डुबोने की बारहा
हम कश्ती-ए-हयात बचाते चले गए
अपना कहा किसी ने गले से लगा लिया
यूँ दुश्मनों को दोस्त बनाते चले गए
रुसवाइयों के डर से कभी बज़्म-ए-नाज़ में
हँस-हँस के दर्द-ए-दिल को छुपाते चले गए
करता है जो सभी के मुक़द्दर का फ़ैसला
उसकी रज़ा की शम्अ जलाते चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Wahshat Shayari Shayari