jise ham pyaar karte hain use rusva nahin karte | जिसे हम प्यार करते हैं उसे रुस्वा नहीं करते

  - SALIM RAZA REWA

jise ham pyaar karte hain use rusva nahin karte
hamaare darmiyaan kya hai kabhi charcha nahin karte

tumhaare pyaar kii khushboo hamesha saath rahti hai
tumhaari yaad ke lashkar mujhe tanhaa nahin karte

ujaale baante firte hain jo duniya mein logon ko
kisi soorat mein vo imaan ka sauda nahin karte

jahaan par khauf ke baadal hamesha muskuraate hain
parinde aisi shaakhon par kabhi baitha nahin karte

raza seene mein jinke noor-e-eimaan jagmagataa hai
kisi majboor par zulm-o-sitam dhaaya nahin karte

जिसे हम प्यार करते हैं उसे रुस्वा नहीं करते
हमारे दरमियाँ क्या है कभी चर्चा नहीं करते

तुम्हारे प्यार की ख़ुशबू हमेशा साथ रहती है
तुम्हारी याद के लश्कर मुझे तन्हा नहीं करते

 
उजाले बाँटते फिरते हैं जो दुनिया में लोगों को

किसी सूरत में वो ईमान का सौदा नहीं करते
जहाँ पर ख़ौफ़ के बादल हमेशा मुस्कुराते हैं

परिंदे ऐसी शाख़ों पर कभी बैठा नहीं करते 
'रज़ा' सीने में जिनके नूर-ए-ईमाँ जगमगाता है

किसी मजबूर पर ज़ुल्म-ओ-सितम ढाया नहीं करते

  - SALIM RAZA REWA

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari