kabhi to khud mein hi dhalne ko jang karta hoon
kabhi main khud ko badlne ko jang karta hoon
uljh gaya hoon khayaalon se is qadar ab to
tamaam umr nikalne ko jang karta hoon
dil-o-dimaagh kii aapas mein jab nahin banti
to inke saath mein chalne ko jang karta hoon
ghamon kii bheed ne ghera hai chaaron jaanib se
gira-pada hoon sambhalne ko jang karta hoon
mere zameer ne pairo'n ko baandh rakkha hai
wafa ke saath mein chalne ko jang karta hoon
mera ghuroor mere raaste mein jab aaya
to uski hasti kuchalne ko jang karta hoon
tumhaari yaad khurchane lagi hain zakhamon ko
ab iski zad se nikalne ko jang karta hoon
कभी तो ख़ुद में ही ढलने को जंग करता हूँ
कभी मैं ख़ुद को बदलने को जंग करता हूँ
उलझ गया हूँ ख़्यालों से इस क़दर अब तो
तमाम उम्र निकलने को जंग करता हूँ
दिल-ओ-दिमाग़ की आपस में जब नहीं बनती
तो इनके साथ में चलने को जंग करता हूँ
ग़मों की भीड़ ने घेरा है चारों जानिब से
गिरा-पड़ा हूँ सँभलने को जंग करता हूँ
मेरे ज़मीर ने पैरों को बाँध रक्खा है
वफ़ा के साथ में चलने को जंग करता हूँ
मेरा ग़ुरूर मेरे रास्ते में जब आया
तो उसकी हस्ती कुचलने को जंग करता हूँ
तुम्हारी याद खुरचने लगी हैं ज़ख़्मों को
अब इसकी ज़द से निकलने को जंग करता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Relationship Shayari Shayari