tamannaa hai sanwar jaane se pehle | तमन्ना है सँवर जाने से पहले

  - SALIM RAZA REWA

tamannaa hai sanwar jaane se pehle
tujhe dekhoon nikhar jaane se pehle


kabhi mujhpar bhi ho nazar-e-inaayat

meri hasti bikhar jaane se pehle
guzarna hai mujhe unki gali se

wazu kar loon udhar jaane se pehle
tere pahluu mein hi nikle mera dam

yahi khwaahish hai mar jaane se pehle


chalo ek pyaar ka paudha lagaayein
bahaaron ke guzar jaane se pehle


chalo ik doosre mein doob jaayen

ujaalon ke ubhar jaane se pehle

तमन्ना है सँवर जाने से पहले
तुझे देखूँ निखर जाने से पहले

 
कभी मुझपर भी हो नज़र-ए-इनायत

मेरी हस्ती बिखर जाने से पहले 
गुज़रना है मुझे उनकी गली से

वज़ू कर लूँ उधर जाने से पहले
तेरे पहलू में ही निकले मेरा दम

यही ख़्वाहिश है मर जाने से पहले
 

चलो एक प्यार का पौधा लगाएँ
बहारों के गुज़र जाने से पहले

 
चलो इक दूसरे में डूब जाएँ

उजालों के उभर जाने से पहले

  - SALIM RAZA REWA

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari