badan churaate hue rooh mein samaaya kar
main apni dhoop mein soya hua hoon saaya kar
ye aur baat ki dil mein ghana andhera hai
magar zabaan se to chaandni lutaaya kar
chhupa hua hai tiri aajizi ke tarkash mein
ana ke teer isee zahar mein bujhaaya kar
koi sabeel ki pyaase panaah maangte hain
safar ki raah mein parchaaiyaan bichaaya kar
khuda ke vaaste mauqa na de shikaayat ka
ki dosti ki tarah dushmani nibhaaya kar
ajab hua ki girah pad gai mohabbat mein
jo ho sake to judaai mein raas aaya kar
naye charaagh jala yaad ke kharaabe mein
watan mein raat sahi raushni manaaya kar
बदन चुराते हुए रूह में समाया कर
मैं अपनी धूप में सोया हुआ हूँ साया कर
ये और बात कि दिल में घना अँधेरा है
मगर ज़बान से तो चाँदनी लुटाया कर
छुपा हुआ है तिरी आजिज़ी के तरकश में
अना के तीर इसी ज़हर में बुझाया कर
कोई सबील कि प्यासे पनाह माँगते हैं
सफ़र की राह में परछाइयाँ बिछाया कर
ख़ुदा के वास्ते मौक़ा न दे शिकायत का
कि दोस्ती की तरह दुश्मनी निभाया कर
अजब हुआ कि गिरह पड़ गई मोहब्बत में
जो हो सके तो जुदाई में रास आया कर
नए चराग़ जला याद के ख़राबे में
वतन में रात सही रौशनी मनाया कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saqi Faruqi
our suggestion based on Saqi Faruqi
As you were reading Dil Shayari Shayari