ye dekhna hai kaun bachaane ki taraf hai
paani to abhi aag lagaane ki taraf hai
khud apni khilaafat mein raha jiski taraf main
us shakhs ko dekhen ki zamaane ki taraf hai
is nashshe mein aaya tha chala teri taraf main
ab dhyaan mera laut ke jaane ki taraf hai
lipti rahi har khwaab se ik sard haqeeqat
dariya to abhi kashti dubaane ki taraf hai
main kehta raha dil tera mujhse na lage par
aur sabko laga dil tujhe paane ki taraf hai
yaaron ki ye zid hai mujhe tarteeb se rakhna
aur apna amal khaak udaane ki taraf hai
ये देखना है कौन बचाने की तरफ़ है
पानी तो अभी आग लगाने की तरफ़ है
ख़ुद अपनी ख़िलाफ़त में रहा जिसकी तरफ़ मैं
उस शख़्स को देखें कि ज़माने की तरफ़ है
इस नश्शे में आया था चला तेरी तरफ़ मैं
अब ध्यान मेरा लौट के जाने की तरफ़ है
लिपटी रही हर ख़्वाब से इक सर्द हक़ीक़त
दरिया तो अभी कश्ती डुबाने की तरफ़ है
मैं कहता रहा दिल तेरा मुझसे न लगे पर
और सबको लगा दिल तुझे पाने की तरफ़ है
यारों की ये ज़िद है मुझे तरतीब से रखना
और अपना अमल ख़ाक उड़ाने की तरफ़ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarul
our suggestion based on Sarul
As you were reading Aag Shayari Shayari