kahaan se dhoondh ke laaun purane khwaab aankhon mein | कहाँ से ढूँढ के लाऊँ पुराने ख़्वाब आँखों में

  - Sawan Shukla

kahaan se dhoondh ke laaun purane khwaab aankhon mein
koi manzar nahin tikta meri sairaab aankhon mein

na neenden theen na aansu the na khushiyaan theen magar tu tha
ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khwab aankhon mein

kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta
mera chehra nikalta hai inheen betaab aankhon mein

jise ta'aamir ka dar hai chala jaaye vo bin bole
jo hain taiyyaar sach ko vo rahenge khwaab aankhon mein

dafa kar ishq ka charcha kahi tu bhi na bah jaaye
abhi to baandh ke rakhen hain sab sailaab aankhon mein

कहाँ से ढूँढ के लाऊँ पुराने ख़्वाब आँखों में
कोई मंज़र नहीं टिकता मिरी सैराब आँखों में

न नींदें थीं न आँसू थे न ख़ुशियाँ थीं मगर तू था
कि अब तू भी नहीं आता है इन बे-ख़्वाब आँखों में

किसी भी आइने में अब मिरा चेहरा नहीं दिखता
मिरा चेहरा निकलता है इन्हीं बेताब आँखों में

जिसे ता'मीर का डर है चला जाए वो बिन बोले
जो हैं तय्यार सच को वो रहेंगे ख़्वाब आँखों में

दफ़ा कर इश्क़ का चर्चा कहीं तू भी न बह जाए
अभी तो बाँध के रक्खें हैं सब सैलाब आँखों में

  - Sawan Shukla

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sawan Shukla

As you were reading Shayari by Sawan Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Sawan Shukla

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari