jis vehshat ne tumko hai bekar kiya
hamne uska saalon kaarobaar kiya
khaak udaai khoob khuda ki duniya mein
yun hi nain in ghazlon ne sardaar kiya
zakhmon ne hai mujhko gar shohrat de di
yaani ped ne dhoop ko bhi aahaar kiya
sabse pehle surkh taalluq tod diye
aur nazar ko ganga ke us paar kiya
ek tumhaari yaad hi meri saathin hai
maa kahti hai kisko kisko pyaar kiya
main kehta hoon badan thikaane lag jaaye
dil kehta hai bilkul haan sarkaar kiya
awwal aana hi mera mustaqbil hai
ghar bhar mein pehla hoon jisne pyaar kiya
जिस वहशत ने तुमको है बेकार किया
हमने उसका सालों कारोबार किया
ख़ाक उड़ाई ख़ूब ख़ुदा की दुनिया में
यूँ ही नइँ इन ग़ज़लों ने सरदार किया
ज़ख्मों ने है मुझको गर शोहरत दे दी
यानी पेड़ ने धूप को भी आहार किया
सबसे पहले सुर्ख़ तअल्लुक तोड़ दिए
और नज़र को गंगा के उस पार किया
एक तुम्हारी याद ही मेरी साथिन है
माँ कहती है किसको किसको प्यार किया
मैं कहता हूँ बदन ठिकाने लग जाए
दिल कहता है बिलकुल हाँ सरकार किया
अव्वल आना ही मेरा मुस्तक़बिल है
घर भर में पहला हूँ जिसने प्यार किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SWAPNIL YADAV 'NIL'
our suggestion based on SWAPNIL YADAV 'NIL'
As you were reading Khuda Shayari Shayari