tera chaaya hua hai noor dil par
to kyun kar hon na ham maghroor dil par
wahin se main sada deta hoon us ko
utha rakha hai main ne toor dil par
pari chehron ki maula khair hove
abhi taari hai shauq ae hoor dil par
thakan sab ko sula deti hai lekin
ta'ajjub hai mere mazdoor dil par
jinhen ham ghaav kah kar hans rahe the
hasi se ho gaye naasoor dil par
gunaahon kya banega iska aakhir
taras khao mere majboor dil par
तेरा छाया हुआ है नूर दिल पर
तो क्यूँकर हों न हम मग़रूर दिल पर
वहीं से मैं सदा देता हूँ उस को
उठा रक्खा है मैंने तूर दिल पर
परी चेहरों की मौला ख़ैर होवे
अभी तारी है शौक़-ए-हूर दिल पर
थकन सब को सुला देती है लेकिन
तअज्जुब है मेरे मज़दूर दिल पर
जिन्हें हम घाव कह कर हँस रहे थे
हँसी से हो गए नासूर दिल पर
गुनाहों क्या बनेगा इसका आख़िर
तरस खाओ मेरे मजबूर दिल पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Javed
our suggestion based on Shadab Javed
As you were reading Ghayal Shayari Shayari