main duniya kii khaatir hoon dil hone waala | मैं दुनिया की ख़ातिर हूँ दिल होने वाला

  - Shaheen Abbas

main duniya kii khaatir hoon dil hone waala
mera ahad hai mustaqil hone waala

khuda aisa tanhaa kisi ko na rakhe
koii bhi na ho jab mukhil hone waala

pas-e-aab-o-gil main dikha bhi chuka hoon
tamasha sar-e-aab-o-gil hone waala

safeene bhare aa rahe hain barabar
hai dariya kahin muntaqil hone waala

wahi ek ham hain wahi ek tum ho
ye aalam nahin mo'tadil hone waala

lahu ke kinaare bhi zad par hain dono
ye kya zakhm hai mundamil hone waala

meri raakh dekho to kya mutmain hai
main ik shakhs tha mushta'il hone waala

मैं दुनिया की ख़ातिर हूँ दिल होने वाला
मिरा अहद है मुस्तक़िल होने वाला

ख़ुदा ऐसा तन्हा किसी को न रक्खे
कोई भी न हो जब मुख़िल होने वाला

पस-ए-आब-ओ-गिल मैं दिखा भी चुका हूँ
तमाशा सर-ए-आब-ओ-गिल होने वाला

सफ़ीने भरे आ रहे हैं बराबर
है दरिया कहीं मुंतक़िल होने वाला

वही एक हम हैं वही एक तुम हो
ये आलम नहीं मो'तदिल होने वाला

लहू के किनारे भी ज़द पर हैं दोनों
ये क्या ज़ख़्म है मुंदमिल होने वाला

मिरी राख देखो तो क्या मुतमइन है
मैं इक शख़्स था मुश्तइ'ल होने वाला

  - Shaheen Abbas

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shaheen Abbas

As you were reading Shayari by Shaheen Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shaheen Abbas

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari