kuchh der kaali raat ke pahluu mein late ke
laaya hoon apne haathon mein jugnoo samet ke
do chaar daanv khel ke vo sard pad gaya
ab kya karoge taash ke patton ko fete ke
us saanwale se jism ko dekha hi tha ki bas
ghulne lage zabaan pe maze chocolate ke
jaise koi libaas na ho us ke jism par
yun raasta chale hai badan ko samet ke
main us ke intizaar mein baitha hi rah gaya
kapdon mein rakh gaya vo badan ko lapet ke
har falsafe ko waqt ne aise mita diya
jaise koi nuqoosh mita de slate ke
vo hans raha tha door khada aur chand log
le ja rahe the us ko kafan mein lapet ke
कुछ देर काली रात के पहलू में लेट के
लाया हूँ अपने हाथों में जुगनू समेट के
दो चार दाँव खेल के वो सर्द पड़ गया
अब क्या करोगे ताश के पत्तों को फेट के
उस साँवले से जिस्म को देखा ही था कि बस
घुलने लगे ज़बाँ पे मज़े चाकलेट के
जैसे कोई लिबास न हो उस के जिस्म पर
यूँ रास्ता चले है बदन को समेट के
मैं उस के इंतिज़ार में बैठा ही रह गया
कपड़ों में रख गया वो बदन को लपेट के
हर फ़लसफ़े को वक़्त ने ऐसे मिटा दिया
जैसे कोई नुक़ूश मिटा दे सलेट के
वो हँस रहा था दूर खड़ा और चंद लोग
ले जा रहे थे उस को कफ़न में लपेट के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahid Kabir
our suggestion based on Shahid Kabir
As you were reading Aadmi Shayari Shayari