mujh pe hain saikron ilzaam mere saath na chal | मुझ पे हैं सैकड़ों इल्ज़ाम मिरे साथ न चल

  - Shakeel Azmi

mujh pe hain saikron ilzaam mere saath na chal
tu bhi ho jaayega badnaam mere saath na chal

tu nayi subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main hoon ik dhool bhari shaam mere saath na chal

apni khushiyaan mere aalaam se mansoob na kar
mujh se mat maang mera naam mere saath na chal

tu bhi kho jaayegi tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyaam mere saath na chal

meri deewaar ko tu kitna sambhaalega shakeel
tootaa rehta hoon har gaam mere saath na chal

मुझ पे हैं सैकड़ों इल्ज़ाम मिरे साथ न चल
तू भी हो जाएगा बदनाम मिरे साथ न चल

तू नई सुबह के सूरज की है उजली सी किरन
मैं हूँ इक धूल भरी शाम मिरे साथ न चल

अपनी ख़ुशियाँ मिरे आलाम से मंसूब न कर
मुझ से मत माँग मिरा नाम मिरे साथ न चल

तू भी खो जाएगी टपके हुए आँसू की तरह
देख ऐ गर्दिश-ए-अय्याम मिरे साथ न चल

मेरी दीवार को तू कितना सँभालेगा 'शकील'
टूटता रहता हूँ हर गाम मिरे साथ न चल

  - Shakeel Azmi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Azmi

As you were reading Shayari by Shakeel Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Azmi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari