ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal | इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल

  - Shakeel Badayuni

ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal
saari duniya ko mohabbat ki nishaani di hai
is ke saaye mein sada pyaar ke charche honge
khatm jo ho na sakegi vo kahaani di hai
ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal

taaj vo sham'a hai ulfat ke sanam-khaane ki
jis ke parvaanon mein muflis bhi hain zardaar bhi hain
sang-e-marmar mein samaaye hue khwaabon ki qasam
marhale pyaar ke aasaan bhi hain dushwaar bhi hain
dil ko ik josh iraadon ko jawaani di hai
ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal

taaj ik zinda tasavvur hai kisi shaayar ka
us ka afsaana haqeeqat ke siva kuchh bhi nahin
is ke aaghosh mein aa kar ye gumaan hota hai
zindagi jaise mohabbat ke siva kuchh bhi nahin
taaj ne pyaar ki maujon ko rawaani di hai
ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal

ye haseen raat ye mahki hui pur-noor fazaa
ho ijaazat to ye dil ishq ka izhaar kare
ishq insaan ko insaan bana deta hai
kis ki himmat hai mohabbat se jo inkaar kare
aaj taqdeer ne ye raat suhaani di hai
ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj mahal

saari duniya ko mohabbat ki nishaani di hai
ik shahenshah ne banwa ke haseen taaj-mahal

इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल
सारी दुनिया को मोहब्बत की निशानी दी है
इस के साए में सदा प्यार के चर्चे होंगे
ख़त्म जो हो न सकेगी वो कहानी दी है
इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल

ताज वो शम्अ है उल्फ़त के सनम-ख़ाने की
जिस के परवानों में मुफ़्लिस भी हैं ज़रदार भी हैं
संग-ए-मरमर में समाए हुए ख़्वाबों की क़सम
मरहले प्यार के आसाँ भी हैं दुश्वार भी हैं
दिल को इक जोश इरादों को जवानी दी है
इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल

ताज इक ज़िंदा तसव्वुर है किसी शाएर का
उस का अफ़्साना हक़ीक़त के सिवा कुछ भी नहीं
इस के आग़ोश में आ कर ये गुमाँ होता है
ज़िंदगी जैसे मोहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं
ताज ने प्यार की मौजों को रवानी दी है
इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल

ये हसीं रात ये महकी हुई पुर-नूर फ़ज़ा
हो इजाज़त तो ये दिल इश्क़ का इज़हार करे
इश्क़ इंसान को इंसान बना देता है
किस की हिम्मत है मोहब्बत से जो इंकार करे
आज तक़दीर ने ये रात सुहानी दी है
इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज महल

सारी दुनिया को मोहब्बत की निशानी दी है
इक शहंशाह ने बनवा के हसीं ताज-महल

  - Shakeel Badayuni

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Badayuni

As you were reading Shayari by Shakeel Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Badayuni

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari