kuchh naye aur kuchh purane ho gaye
kahkahe ab dafn saare ho gaye
jaao dekho kaam koi doosra
kyun khade sab mere aage ho gaye
phir se kheecha dhyaan dukh ne aur ham
gham-zada phir baithe baithe ho gaye
kis liye ab sar jhuka hai aapka
ab to ham bhi aap jaise ho gaye
raah se mujh ko hata kar andaleeb
mujh se aage aaj saare ho gaye
कुछ नए और कुछ पुराने हो गए
कहकहे अब दफ़्न सारे हो गए
जाओ देखो काम कोई दूसरा
क्यूँ खड़े सब मेरे आगे हो गए
फिर से खींचा ध्यान दुख ने और हम
ग़म-ज़दा फिर बैठे बैठे हो गए
किस लिए अब सर झुका है आपका
अब तो हम भी आप जैसे हो गए
राह से मुझ को हटा कर अंदलीब
मुझ से आगे आज सारे हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Aah Shayari Shayari