jahaan bhi zara si mile raushni dil
khamoshi udaasi mita teergi dil
purane dariche sabhi khol baitha
na ban jaaye mushkil tujhe taazgi dil
kai log apne paraaye hue hain
hamein aazmaaye hai phir zindagi dil
ye gardish ka aalam hai do chaar din bas
nahin rehta koi hamesha dukhi dil
mujhe mushkilon ne bahut aazmaaya
khadi apne dam par main phir bhi rahi dil
जहाँ भी ज़रा सी मिले रौशनी दिल
ख़मोशी उदासी मिटा तीरगी दिल
पुराने दरीचे सभी खोल बैठा
न बन जाए मुश्किल तुझे ताज़गी दिल
कई लोग अपने पराए हुए हैं
हमें आज़माए है फिर ज़िंदगी दिल
ये गर्दिश का आलम है दो चार दिन बस
नहीं रहता कोई हमेशा दुखी दिल
मुझे मुश्किलों ने बहुत आज़माया
खड़ी अपने दम पर मैं फिर भी रही दिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Andhera Shayari Shayari