ajab shikast ka ehsaas dil pe chaaya tha
kisi ne mujh ko nishaana nahin banaya tha
usi nigaah ne aankhon ko kar diya patthar
usi nigaah mein sab kuchh nazar bhi aaya tha
yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin
vo kya dikhaane mujhe itni door laaya tha
uljh gaya hoon kuchh aisa ki yaad bhi to nahin
ye vaham pahle-pahl kaise dil mein aaya tha
vo main nahin tha tumhaari taraf sarkata hua
havas ne teergi ka faaeda uthaya tha
bichadna itna hi aasaan tha agar us se
to khud-kushi ka ye samaan kyun jutaaya tha
gila to aaj bhi sacchaai hai magar sharik
ye jhooth us se mein pehle hi bol aaya tha
अजब शिकस्त का एहसास दिल पे छाया था
किसी ने मुझ को निशाना नहीं बनाया था
उसी निगाह ने आँखों को कर दिया पत्थर
उसी निगाह में सब कुछ नज़र भी आया था
यहाँ तो रेत है पत्थर हैं और कुछ भी नहीं
वो क्या दिखाने मुझे इतनी दूर लाया था
उलझ गया हूँ कुछ ऐसा कि याद भी तो नहीं
ये वहम पहले-पहल कैसे दिल में आया था
वो मैं नहीं था तुम्हारी तरफ़ सरकता हुआ
हवस ने तीरगी का फ़ाएदा उठाया था
बिछड़ना इतना ही आसान था अगर उस से
तो ख़ुद-कुशी का ये सामान क्यूँ जुटाया था
गिला तो आज भी सच्चाई है मगर 'शारिक़'
ये झूट उस से में पहले ही बोल आया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Raat Shayari Shayari