barson junoon sehra sehra bhatkaata hai | बरसों जुनूँ सहरा सहरा भटकाता है - Shariq Kaifi

barson junoon sehra sehra bhatkaata hai
ghar mein rahna yoonhi nahin aa jaata hai

pyaas aur dhoop ke aadi ho jaate hain hum
jab tak dasht ka khel samajh mein aata hai

aadat thi so pukaar liya tum ko warna
itne karb mein kaun kise yaad aata hai

maut bhi ik hal hai to masaail ka lekin
dil ye suhulat lete hue ghabraata hai

ik tum hi to gawaah ho mere hone ke
aaina to ab bhi mujhe jhutlaata hai

uf ye saza ye to koi insaaf nahin
koi mujhe mujrim hi nahin thehrata hai

kaise kaise gunaah kiye hain khwaabon mein
kya ye bhi mere hi hisaab mein aata hai

बरसों जुनूँ सहरा सहरा भटकाता है
घर में रहना यूँही नहीं आ जाता है

प्यास और धूप के आदी हो जाते हैं हम
जब तक दश्त का खेल समझ में आता है

आदत थी सो पुकार लिया तुम को वर्ना
इतने कर्ब में कौन किसे याद आता है

मौत भी इक हल है तो मसाइल का लेकिन
दिल ये सुहुलत लेते हुए घबराता है

इक तुम ही तो गवाह हो मेरे होने के
आईना तो अब भी मुझे झुटलाता है

उफ़ ये सज़ा ये तो कोई इंसाफ़ नहीं
कोई मुझे मुजरिम ही नहीं ठहराता है

कैसे कैसे गुनाह किए हैं ख़्वाबों में
क्या ये भी मेरे ही हिसाब में आता है

- Shariq Kaifi
1 Like

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari