kahaan socha tha main ne bazm-aaraai se pehle | कहाँ सोचा था मैं ने बज़्म-आराई से पहले

  - Shariq Kaifi

kahaan socha tha main ne bazm-aaraai se pehle
ye meri aakhiri mehfil hai tanhaai se pehle

bas ik sailaab tha lafzon ka jo rukta nahin tha
ye halchal sath pe rahti hai gehraai se pehle

bahut din hosh-mandon ke kahe ka maan rakha
magar ab mashwara karta hoon saudaai se pehle

faqat rangon ke is jhurmut ko main sach maan luun kya
vo sab kuchh jhooth tha dekha jo beenaai se pehle

kisi bhi jhooth ko jeena bahut mushkil nahin hai
faqat dil ko haraa karna hai sacchaai se pehle

ye aankhen bheed mein ab tak usi ko dhundti hain
jo saaya tha yahan pehle tamaashaai se pehle

कहाँ सोचा था मैं ने बज़्म-आराई से पहले
ये मेरी आख़िरी महफ़िल है तन्हाई से पहले

बस इक सैलाब था लफ़्ज़ों का जो रुकता नहीं था
ये हलचल सत्ह पे रहती है गहराई से पहले

बहुत दिन होश-मंदों के कहे का मान रक्खा
मगर अब मशवरा करता हूँ सौदाई से पहले

फ़क़त रंगों के इस झुरमुट को मैं सच मान लूँ क्या
वो सब कुछ झूट था देखा जो बीनाई से पहले

किसी भी झूट को जीना बहुत मुश्किल नहीं है
फ़क़त दिल को हरा करना है सच्चाई से पहले

ये आँखें भीड़ में अब तक उसी को ढूँडती हैं
जो साया था यहाँ पहले तमाशाई से पहले

  - Shariq Kaifi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari