tiri taraf se to haan maan kar hi chalna hai | तिरी तरफ़ से तो हाँ मान कर ही चलना है

  - Shariq Kaifi

tiri taraf se to haan maan kar hi chalna hai
ki saara khel is ummeed par hi chalna hai

qadam thehar hi gaye hain tiri gali mein to phir
yahan se koi dua maang kar hi chalna hai

rahe ho saath to kuchh waqt aur de do hamein
yahan se laut ke bas ab to ghar hi chalna hai

mukhaalifat pe hawaon ki kyun pareshaan hon
tumhaari samt agar umr bhar hi chalna hai

koi umeed nahin khidkiyon ko band karo
ki ab to dast-e-bala ka safar hi chalna hai

zara sa qurb mayassar to aaye us ka mujhe
ki us ke baad zabaan ka hunar hi chalta hai

तिरी तरफ़ से तो हाँ मान कर ही चलना है
कि सारा खेल इस उम्मीद पर ही चलना है

क़दम ठहर ही गए हैं तिरी गली में तो फिर
यहाँ से कोई दुआ माँग कर ही चलना है

रहे हो साथ तो कुछ वक़्त और दे दो हमें
यहाँ से लौट के बस अब तो घर ही चलना है

मुख़ालिफ़त पे हवाओं की क्यों परेशाँ हों
तुम्हारी सम्त अगर उम्‍र भर ही चलना है

कोई उमीद नहीं खिड़कियों को बन्द करो
कि अब तो दश्त-ए-बला का सफ़र ही चलना है

ज़रा सा क़ुर्ब मयस्सर तो आए उस का मुझे
कि उस के बाद ज़बाँ का हुनर ही चलना है

  - Shariq Kaifi

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari