ye dar aashiq ko dasta tha pehle
so khidki uska rasta tha pehle
aankhon ke paani se haasil tha sab
har mehnga saamaan sasta tha pehle
cigarette kii khushboo ye batlaati hai
in haathon mein guldasta tha pehle
ये दर आशिक़ को डसता था पहले
सो खिड़की उसका रस्ता था पहले
आँखो के पानी से हासिल था सब
हर महँगा सामाँ सस्ता था पहले
सिगरेट की ख़ुशबू ये बतलाती है
इन हाथों में गुलदस्ता था पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam Prajapati
our suggestion based on Shivam Prajapati
As you were reading Aashiq Shayari Shayari