taalluq tod kar us ki gali se
kabhi main jud na paaya zindagi se
khuda ka aadmi ko dar kahaan ab
vo ghabraata hai keval aadmi se
meri ye tishnagi shaayad bujhegi
kisi meri hi jaisi tishnagi se
bahut chubhta hai ye meri ana ko
tumhaara baat karna har kisi se
khasaare ko khasaare se bharunga
nikaloonga ujaala teergi se
tumhein ai dosto main jaanta hoon
sukoon milta hai meri bekli se
hawaon mein kahaan ye dam tha faisal
diya mera bujha hai buzdili se
तअल्लुक़ तोड़ कर उस की गली से
कभी मैं जुड़ न पाया ज़िंदगी से
ख़ुदा का आदमी को डर कहाँ अब
वो घबराता है केवल आदमी से
मिरी ये तिश्नगी शायद बुझेगी
किसी मेरी ही जैसी तिश्नगी से
बहुत चुभता है ये मेरी अना को
तुम्हारा बात करना हर किसी से
ख़सारे को ख़सारे से भरूँगा
निकालूँगा उजाला तीरगी से
तुम्हें ऐ दोस्तो मैं जानता हूँ
सुकूँ मिलता है मेरी बेकली से
हवाओं में कहाँ ये दम था 'फ़ैसल'
दिया मेरा बुझा है बुज़दिली से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Siraj Faisal Khan
our suggestion based on Siraj Faisal Khan
As you were reading Zindagi Shayari Shayari