zameen par bas lahu bikhra hamaara | ज़मीं पर बस लहू बिखरा हमारा - Siraj Faisal Khan

zameen par bas lahu bikhra hamaara
abhi bikhra nahin jazba hamaara

humein ranjish nahin dariya se koi
salaamat gar rahe sehra hamaara

mila kar haath suraj ki kiran se
mukhalif ho gaya saaya hamaara

raqeeb ab vo hamaare hain jinhonne
namak ta-zindagi khaaya hamaara

hai jab tak saath banjaara-mizaaji
kahaan manzil kahaan rasta hamaara

taalluq tark kar ke ho gaya hai
ye rishta aur bhi gahra hamaara

bahut koshish ki lekin jud na paaya
tumhaare naam mein aadha hamaara

idhar sab hum ko qaateel kah rahe hain
udhar khatre mein tha kunba hamaara

ज़मीं पर बस लहू बिखरा हमारा
अभी बिखरा नहीं जज़्बा हमारा

हमें रंजिश नहीं दरिया से कोई
सलामत गर रहे सहरा हमारा

मिला कर हाथ सूरज की किरन से
मुख़ालिफ़ हो गया साया हमारा

रक़ीब अब वो हमारे हैं जिन्होंने
नमक ता-ज़िंदगी खाया हमारा

है जब तक साथ बंजारा-मिज़ाजी
कहाँ मंज़िल कहाँ रस्ता हमारा

तअल्लुक़ तर्क कर के हो गया है
ये रिश्ता और भी गहरा हमारा

बहुत कोशिश की लेकिन जुड़ न पाया
तुम्हारे नाम में आधा हमारा

इधर सब हम को क़ातिल कह रहे हैं
उधर ख़तरे में था कुनबा हमारा

- Siraj Faisal Khan
1 Like

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Siraj Faisal Khan

As you were reading Shayari by Siraj Faisal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Siraj Faisal Khan

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari