aane laga maza use pehle padaav par
hairaan hoon main aakhiri manzar ko soch kar
meri nazar se door tu hone laga magar
ta-umr meri deed ko tarse tiri nazar
veeraan dikhaai de raha jo gaav door tak
maujood tha yahin kabhi mera bhi ek ghar
banjar zameen ko khoon se seencha khilaaye phool
toofan ki zad mein aa gaye phir ek din shajar
qismat ne mujh ko dekh le lootaa hai kis tarah
andaaza lag raha hai meri shakl dekh kar
bachpan mein bhaai chal basa us ka bhi dukh saha
kuchh saal baad aa gai maa-baap ki khabar
do chaar din se vo bhi hai rootha hua bahut
khaane laga hai mujh ko bhi khone ka us ko dar
आने लगा मज़ा उसे पहले पड़ाव पर
हैरान हूँ मैं आख़िरी मंज़र को सोच कर
मेरी नज़र से दूर तू होने लगा मगर
ता-उम्र मेरी दीद को तरसे तिरी नज़र
वीराँ दिखाई दे रहा जो गाँव दूर तक
मौजूद था यहीं कभी मेरा भी एक घर
बंजर ज़मीं को ख़ून से सींचा खिलाए फूल
तूफ़ाँ की ज़द में आ गए फिर एक दिन शजर
क़िस्मत ने मुझ को देख ले लूटा है किस तरह
अंदाज़ा लग रहा है मिरी शक्ल देख कर
बचपन में भाई चल बसा उस का भी दुख सहा
कुछ साल बाद आ गई माँ-बाप की ख़बर
दो चार दिन से वो भी है रूठा हुआ बहुत
खाने लगा है मुझ को भी खोने का उस को डर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Father Shayari Shayari